Parwaaz - Download Mp3 Song

Parwaaz

Parwaaz

Parwaaz
None
None
Parwaaz

album songs
Kaaghaz Ki Kashti Wo
Singer : Jagjit Singh
Save As

Kaaghaz Ki Kashti Wo Lyrics

Song Lyrics Title = Kaaghaz Ki Kashti Wo
Movie/Album Name = Parwaaz
Singer = Jagjit Singh

Mp3 Song Lyrics

(( Ye daulat bhi le lo, ye shohrat bhi le lo
Bhale cheen lo mujhse meri jawani
Magar mujhko lauta do bachpan ka saawan
Wo kaagaz ki kashti wo baarish ka paani

Muhalle ki sab se purani nishani
Wo budiya jise bachche kehte the naani
Wo naani ki baaton mein pariyaon ka dera
Wo chehre ki jhuriyon mein sadiyon ka phera
Bhulaye nahi bhool sakta hai koi
Wo chhoti si raatein wo lambi kahani

Kadi dhoop mein apne ghar se nikalna
Wo chidiya wo bulbul wo titli pakadna
Wo gudiya ki shaadi mein ladna-jhagadna
Wo jhoolon se girna wo girke sambhalna
Wo peepal ke chhalon ke pyare se tohfe
Wo tuti hui churiyon ki nishani

Kabhi ret ke unche teelon pe jaana
Gharonde banana banakar mitana
Wo masoom chahat ki tasveer apni
Wo khabon khilon ki jaagir apni
Na duniya ka gham tha na rishton ke bandhan
Badi khoobsurat thi wo zindgani ))

Posted by : {Soni Kumari}

You May Also Like